Uric Acid Ko Kam Karne Ka Tarika Uric Acid Ko Kaise Kam Kiya Jaye
Uric
Acid Ko Control Kaise Kare In Hindi Language
|
Uric Acid Ka Barh Jana Uric Acid Ko Kam Karne Ka Ilaj Uric Acid Control Food Chart In Hindi
Uric
Acid Ka Desi Totka Uric Acid Urdu Totkay
|
Pureen ke totne ki wajah sey jism mein uric acid banta hai jo khoon sey gurdon tak pohnchta hai aur gurdon sey peshab ke zariye jism se bahir nikalta hai. Jab uric acid jism sey bahir na nikle to ye jism ke andar chote chote crystal ki shakal mein joron mein jama hone lagta hai. Iski wajah sey jorr bekar ho jate hain aur mareez ka chalna phirna bhi mushkil ho jata hai.
Uric acid barhne ka taluq sirf ghair sehat bakhsh ghiza khane se nahi hai balkay uric acid zehni amraaz aur dil ke jumla amraz hone ke bais bhi barh sakta hai. Uric acid ko control karne ke liye chand adaat ko control karna parta hai aur chand foods ko apni daily routine mein shamil karna parta hai.
Uric Acid Barhne Ki Wajah Causes of Increase in Uric Acid Uric Acid Barhne Ke Karan
2. Ganthay parna
3. Pair ke angothon mein sujan
4. Joron mein sujan
Ihtiyat Precautions for Uric Acid
2. Khanay ko zaitoon ke tail k ilawa banaspati oil canola oil mein mat pakaye.
3. Kam chiknai wala doodh istemal karen.
4. Sharab aur tambauku noshi hargiz mat karen.
5. Omega3 Fattyacids zyada istemal na karen.
Uric Acid Ko Control Karne Ke Liye Asan Gharelu Totkay
1. Khali pait 2 sey 3 akhrot khane se high uric acid control hota hai.
2. Aloevera gel mein anolay ka ras mila kar peene se bhi uric acid ki ziyadati ke bais hone wala joron ka dard door hota hai.
3. Nariyal pani uric acid ke level ko control karta hai.
4. Aik chamach shehad aur aik chamach aswagandha powder mila kar 1 glass neem garam pani ya phir doodh mein mila kar peene se uric acid control hota hai.
5. Khane ke baad 2 sey 3 chamach alsi ke beej chaba chaba kar khane se bhi uric acid control hota hai.
Read More Health Tips:- Hiccups Control Tips Hichki Ko Rokne Ke Tarike In Hindi/Urdu
Post a Comment