How To Reduce Cholesterol Naturally Home Remedies In Hindi Cholesterol Level Kam Karne Ka Tarika In Urdu


How To Reduce Cholesterol Level Naturally India

Cholesterol Ghatane Ke Gharelu Upchar How To Reduce Cholesterol Level Home Remedies


How To Reduce Cholesterol Level Naturally In Urdu


Cholesterol Ko Kam Karne Ke Tarike


Cholesterol level ka barh jana sehat ke liye nuqsan deh hai aur is say sehat ke degar masail bhi paida ho jate hain. Cholesterol ki ziyadti mukhtalif bimarion ko janam deti hai jis mein motapa aur dil ki bimariyan shamil hain. Cholesterol barh jane ki wajah mein Genes aur Sex bhi important role play karte hain lekin bohat sari wajuhat humari apni paida karda hoti hain for example hum kya khatay hain, humari khurak mein kya kya cheezain shamil hain.
Neeche di gai tips par amal karke aap cholestrol level ko control ya kam kar sakte hain.

Smoking (Cigarette Noshi)


Cigarette peena sirf apke cholesterol level ko he nahi balky dusri mukhtalif bimarion ki wajah bhi banta hai doctors ke mutabiq smoking chor dene sey cholesterol level kam ho jata hai aur sehat bhi behtar ho jati hai.

Exercise (Warzish)


Daily 30 minutes ki warzish cholesterol ko kam karne ke liye bohat zarori hai warzish karne se na sirf cholesterol level kam karne mein madad milti hai balkay aap ka Weight Lose bhi ho jata hai aur aap khud ko fresh feel karte hain.

Precautions for Cholesterol Patients



  1. Namak ka istemal kam karen.
  2. Palm aur coconut oil ko istemal karna chor dain.
  3. Full cream milk mat piye aur aisi dairy food products use karen jin mein fat na ho.
  4. Egg yolk yani anday ki zardi mein kafi cholestrol paya jata hai isliye aap aik hafty mein anday ki 4 zardi sey zyada istemal na karen.
  5. Raat ka khana sone se kamazkam 2 ghanty pehle khayen aur iske baad thori chehal qadmi lazmi karen.
Next
This is the most recent post.
Previous
Older Post

Post a Comment

 
Top